• الحمدللہ محدث فورم کو نئےسافٹ ویئر زین فورو 2.1.7 پر کامیابی سے منتقل کر لیا گیا ہے۔ شکایات و مسائل درج کروانے کے لئے یہاں کلک کریں۔
  • آئیے! مجلس التحقیق الاسلامی کے زیر اہتمام جاری عظیم الشان دعوتی واصلاحی ویب سائٹس کے ساتھ ماہانہ تعاون کریں اور انٹر نیٹ کے میدان میں اسلام کے عالمگیر پیغام کو عام کرنے میں محدث ٹیم کے دست وبازو بنیں ۔تفصیلات جاننے کے لئے یہاں کلک کریں۔

فوری جواب مطلوب ہے

شمولیت
مارچ 15، 2012
پیغامات
154
ری ایکشن اسکور
493
پوائنٹ
95
Tahaffuz E Ahle Sunnat Wal Jamaat.Pune Maharashta

⚫ Kya Tasbeeh ka Istemaal Bid’at hai ? (Ghair Muqallideen ki Pesh Karda Riwayat ka Jawaab)⚫

Ahle Sunnat Wal Jamaat Ka Yeh Nazariya Hai Ke Tasbeeh Ka Istemaal Jayez Hai Lekin Ghair Muqallideen Naam Nihaad Ahle Hadees Firqa Ka Kaam Ummat Me Ikhtelaaf Paida Karna, Lehaaza Unka Kehna Hai Ke Tasbeeh Ka Istemaal Jayez Nahi Hai.
.
Balke Baaz Juhaala Ka Kehna Hai Ke Tasbeeh Ka Istemaal Bid’at Hai Aur Un Hazraat Ka Ki Daleel Yeh Hai :

Jiska Khulaasa Yeh Hai Ke Hazrat Ibn Masood Rdh. Ne Ek Jamaat Ko Dekha Jo Fajar Se Pehle Halqo Me Baithe, Namaz Ke Intezaar Me Aur Unke Haat Me Kankariya Hai Aur Wo Allah Ka Zikr Kar Rahe Hai.

Aur Hazrat Ibn Masood Rdh. Ne Unke Is Tariqe Ko Gooya Biddat Qaraar Diya Hai. (Sunan E Darmi : Hadees No 210, Darul Mughni KSA Edition)

Al – Jawaab :

Is Hadees Ki Sanad Is Tarah Hai :

أَخْبَرَنَا الْحَكَمُ بْنُ الْمُبَارَكِ، أَنبَأَنَا عَمْرُو بْنُ يَحْيَى، قَالَ: سَمِعْتُ أَبِي، يُحَدِّثُ، عَنْ أَبِيهِ قَالَ: كُنَّا نَجْلِسُ عَلَى بَابِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ مَسْعُودٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ

Sunan E Darmi : Safa 286, Hadees No 210)
...
Tawajjo Farmaaye ! Al Hakam Ibn Ul Mubarak Se Riwayat Karne Waale Amr Bin Yahiya Rh. Hai.

Unko Aimma Ne Zaeef Balke Ibn Abi Yahiya Rh. Ne Unhe Kazzaab Bhi Qaraar Diya Hai.

Aimma ke Aqwaal Darj e Zail :

1 – Imam Ibn Maeen Rh. Farmaate Hai Ke Yeh Kuch Nahi Hai Aur Maine Uski Hadeeso Ko Dekha Hai. (Al Kaamil Li Ibn A’adi : Jild 6 : Safa 215, Mizaan Ul Aitedaal : Jild 5 : Safa 232, Lizaan Ul Mizaan : Jild 6 : Safa 232)

2 – Lais Ibn Abda Naql Karte Hai Ke Maine Imam Ibn Maeen Rh. Ko Farmaate Huwe Suna Ke Mai Usse Khush Nahi Hu. (Al Kaamil Li Ibn A’adi : Jild 6 : Safa 215)

Yaani Usse Riwayat se Mai Khush Nahi hai.

3 – Imam Ibn Kharaash Rh. Farmaate Hai Ke Wo Pasandida Nahi Hai. (Lizaan Ul Mizaan : Jild 6 : Safa 232, At-Tazyeel : Safa 223, Raqm No 600)

Yaani Wo Is Darje ka Raavi nahi ke Usse Riwayat Kiya Jaaye.

4 – Ahmed Ibn Abi Yahiya Al Anmaati Rh. Kehte Hai Ke Wo Kazzab Hai. (At-Tazyeel : Safa 223, Raqm No 600)

5 – Imam Ibn A’adi Farmaate Hai Ke Uski Zyaada Riwayate Nahi Hai. (Al Kaamil Li Ibn A’adi : Jild 6 : Safa 215, At-Tazyeel : Safa 223, Raqm No 600)

Yeh Alfaaz Ulama ke Nazdeek Jarah hai.

6 – Imam Zehbi Rh. Ne Unko Al Mughni Fil Zuaafa Me Shumaar Karke Zaeef Qaraar Diya Hai. (Al Mughni : Jild 2 : Safa 76, Raqm No 4729)

7 – Imam Ibn Qayyim Al Jawzi Rh. Ne Bhi Apni Kitaab Zuaafa Wal Matrookin Me Isko Shumaar Kiya Hai. (Zuaafa Wal Matrookin : Jild 2 : Safa 233, Raqm No 2601)

Lehaaza Yeh Raavi Imam Ibn Qayyim Rh. ke Nazdeek Zaeef wa Matrook hai.

8 – Imam Ibn A’adi Rh. Ne Inko Apni Kaamil Fii Zuaafa Ar-Rijaal Me Zikr Kiya Hai. (Al Kaamil : Jild 6 : Safa 215, Raqm No 1287)

Maloom huwa ke Unke Nazdeek bhi Yeh Raavi Zaeef hai.

9 – Isi Tarah Imam Zehbi Rh. Ne Apni Ek Aur Kitaab Dewaan E Zuaafa Wal Matrookin Me Isko Naql Karke Zaeef Aur Matrook Qaraar Diya Hai. (Dewaan E Zuaafa Wal Matrookin : Safa 307, Raqm No 3229)

10 – Imam Taqiuddin Al Maqreezi Rh. Ne Bhi Mukhtasar Al Kaamil Fil Zuaafa Me Unko Zikr Karke Zaeef Qaraar Diya Hai. (Mukhtasar Al Kaamil : Raqm No 1287, Egypt Edition)

11 – Imam Haismi Rh. ne bhi Unhe Zaeef hai. (Majmu az Zawaaid : Jild 3 : Safa 178)

Algarz Yeh Riwayat Zaeef hai.

Aur Badi Ta-ajjud ki Baat hai Jis Jamaat ka dawa hai ke Hum Sirf Saheeh Hadeeso par Amal karte hai.

Dekhiye ! Wo Kis Tarah Apne Nazariye ko Saabit karne ke Liye Zaeef hadeeso se bhi Istedlaal Karte hai.

Yeh Mahez Dhokha aur Ta’assub hai.

Allah tala In Bimaariyo se Hume Mehfooz Rakhe…..Ameen.

- https://tahaffuzeahlesunnatpune.wordpress.com/2014/08/12/kya-tasbeeh-ka-istemaal-bidat-hai-ghair-muqallideen-ki-pesh-karda-riwayat-ka-jawaab/
⬛⬜⬛⬜⬛⬜
 
Top