• الحمدللہ محدث فورم کو نئےسافٹ ویئر زین فورو 2.1.7 پر کامیابی سے منتقل کر لیا گیا ہے۔ شکایات و مسائل درج کروانے کے لئے یہاں کلک کریں۔
  • آئیے! مجلس التحقیق الاسلامی کے زیر اہتمام جاری عظیم الشان دعوتی واصلاحی ویب سائٹس کے ساتھ ماہانہ تعاون کریں اور انٹر نیٹ کے میدان میں اسلام کے عالمگیر پیغام کو عام کرنے میں محدث ٹیم کے دست وبازو بنیں ۔تفصیلات جاننے کے لئے یہاں کلک کریں۔

نماز فجر کے وقت سنت پڑھنا part 2

شمولیت
اگست 27، 2013
پیغامات
80
ری ایکشن اسکور
13
پوائنٹ
57
3 Hazrat Abdullah Bin Abi Musa (Raziallahutala) farmatey Hain Ki Hazrat Abdullah Bin Masood (Raziallahutala) Humari Masjid Main Tashreef Laaye To IMAM Fajar Ki Namaaz Parha Raha Tha Aap (Raziallahutala) Ney Ek Satoon (Pillar) Ke Qareeb Fajir ki Sunnaten Ada Ki kyonki Wah Ussey Pahley Sunnaten Nahi Parh Sakey They [ Majma-E-Zawayed Vol-1, Page 75]

dusri rivayat


4 Hazrat Abu Usman Ansari (Raziallahutala) Kahtey Hain Ki Hazrat Abdullh Bin Abbas (Raziallahutala) Tashreef Laaye Jabki Imam Fajir Ki Namaaz Parha Raha Tha Aur Aap Ney 2- Raka’t Nahi Parhi Thi..To Pahley Unhoney 2- Raka’ten Parhin Phir Jama’t Main Shamil Ho Kar Fajir Ki Namaz Parhi. [ Aasaaruss Sunan Vol:2,Page 22, Tahawi ] ..

teesri rivayat


5 Muhammad Bin Kaab (Raziallahutala) Farmatey Hain Ki Hazrat Abdullah Bin Umar (Raziallahutala) Ghar Se Nikley To Fajir Ki Namaaz Khari Ho Gayee, Aap (Raziallahutala) Ney Masjid Main Daakhil Honey Se Pahley Hi 2- Raka’t Parhi Phir Ba-Jama’t Namaaz Parhi. [ Tahawi Shareef with sound chain]

in rivayat ki isnadi hesiyat kiya hai ???
 
Top