m.mustafain
مبتدی
- شمولیت
- اکتوبر 04، 2015
- پیغامات
- 2
- ری ایکشن اسکور
- 0
- پوائنٹ
- 17
Assalam u Alaikum
11ween aur hasan o hussain waghera ki niaz k baray mein hum suntay aye hain k ye haraam hain? Qk quran mein ghair ullah k khanay ko haraam kaha gaya hai lihaza ye khanay bhi ghair ullah ki taraf mansoob hain islie haraam hain.
Mera sawaal ye hai k jab ye khana ghair ullah ki taraf mansoob honay ki waja se haraam hai tou aisi mithai ka kia hukum hai jo bachon ki paidaish k waqt taqseem ki jati hain? Ye bhi ghair ullah ki taraf mansoob hain. . . ?
Aik sawal ye bhi hai k agar ghair ullah ka khana sirf is shart k sath mashroot hai k niaz karnay wala ye niyat rakhay ke ye khana hum apnay buzurgon ki nazar kar rahay hain takay woh hashar mein hamari madad karenge tou kia har niaz ko haraam kehna ghalat nahi hoga?? Aur haraam k bajae najaiz kehna zada behtar nahi hoga?
Ulama se guzarish hai k sahih moqqaf kitabosunnat k dalail ki roshni mein wazeh karein.
Jazakallahu khair