Abu jar R. Se riwat hai ki rasolullah s.a.w. ke sath hamne roze rakkhe,ap s.a.w. ne in ayyam me qiyam na farmaya hatta ki 7 rat baki rah gayi to 7wi rat ko ap s.a.w. ne hame namaz(travih )parhai hatta ki takriban tihai rat guzar gayi,pir usse muttasil 6thi rat ayi to ap s.a.w. ne qiyam na farmaya, phir .(ibne majah) usse muttsil 5cvi rat ayi to ap s.a.w. ne hame namaz(travih )parhai hatta ki takriban aadhi rat guzar gayi,maine arz kiya aye allah ke rasool s.a.w. ! kash ap hame is rat ka baki hissa bhi ata farmate.to ap s.a.w. ne farmaya”jo sakhsh imam ke sath uske farig hone tak qyam karta hai woh pori rat ke barabar hota hai,phir isse mutassil 4wti rat ayi to ap s.a.w. ne qiyam na farmaya, phir isse mutassil 3sri rat ayi to ap s.a.w. ne apni khwateen aur ahle khana ko ikattha kiya,aur(bahut zayada)loag bhi zama ho gaye,nbi s.a.w. ne hame namaz parhai hatta ki hame khtra mahsos hua ki hamari flah chot zayegi,(abu jar R. se)pocha gaya flah ka kya matlab hai ? farmaya SEHRI KA KHANA,fhir farmaya iske bad mahine ki baki rato me rasolullah s.a.w. ne hame namaz(travih zamat se)nhi parhayi.(sunan ibne majah ,hadish 1327,,abudawood ,shahru ramzan,bab fi qiyame sharu ramzan ,hadish 1375,,,,tirmizi ,,hadish 806 ,,,wa ibne khjimah,,,w ibne habban)