السلام علیکم علماء اکرام سے درخواست ہے کہ اسکا جواب دے دیں فیسبک سے کاپی کیا ہے میں نے
Assalamu Alaikum Wr Wb..
Witar Ke 2 rakato Ke Darmayn Tashahud Me Baithna…
Chahe Namaaz Koi Bhi Ho Rasool Ullah Saw ne 2 rakat Ke baad tashahhud Karte Lehaza dalil mulaiza fermaye…
DALIL…
1) Nabi S.A.W Ne irshad Farmaya “Salasa Witar Nahari Salatul Magreeb Witral lail”
Tarjuma- Raat Ki Witar 3 (rakat) hai jistarah din ki witar Magreeb Hai
(Sunan Dar Qutni Hd.no- 1653)
Hasil- jistarah magreeb namaaz padhi jayegi ussi tarah witar ki 3 rakate yani 2 rakato me tasahhud kiya jayega phir 3 rakat me bhi tasahudd kiya jayega phir salam phera jayega..
Iss hadees ki taid me Hazrat IbnUmar raz Aur hazrat Ibn Masud Ki Hadees Karti He Jisko Imam Muhammad Rah Ne Apni Sanad Se Naqal Kiya He Jo Yun Hai…
A) SANAD
Imam Muhammad- Abdul Rehma Bin Abdullah Ibn Utba Al Mas’uddi-Amr Bin Murrah-Abu Ubaida- Ibn Masood Raz….
MATAN
Abdullah Ibm Masood Raz Farmate He Ke “Witr 3(rakat) hai,Magreeb ki 3(rakat) ki tarah”
(Al Ta’liqul Mumajjad Lil Imam Muhammad 2/15)
B) SANAD
Imam Ibne Shaiba Wa Abdur Razzaq-imam A’mash-Malik Bin Haris-Abdul Rehman Bin Yazeed-Abdullah Ibn Masud Raz
MATAN
Abdullah Ibn Masood Raz Farmate He “Witar 3(rakat) hai Magreeb namaaz Ki Tarah
(Musanaff ibne Abi Shaiba Hd.no-6779,6889
Musanaff Abdur Razzaq hd.no-4635)
Imam Ibn Shaiba Aur Imam Abdur Razzaq Dono Ne Imam A’mash Rah Se Riwayat Kiya He
2) Abu Aliya Rah Farmate He Ke Rasool Ullah S.A.W Ke Sahaba Raz Hamko(tabain) ko yeh Sikhatey ke witar ki namaaz Magrib Ki Tarah He, Sivaye iske ke teesri rakat me bhi Qiraat(sure fatiha aur dusra surah) hai, Lehaza Yeh Raat Ki Witar Hai Aur Yeh(magreeb) din Ka Witar
(Tahawi 1/206)
Iss Hadees se bhi Sabit hua ke Magreeb Aur Witr me fark Sirf Qirat Ka He..
3) Ammi Ayesha Raz Farnmati He Ke “Wa ka’ana Yaqulu Fii Kulli raatain Tahiyyat”
Tarjuma- Rasul ullah S.A.W HARR 2 RAKATO ME TAHIYYAT(TASAHHUD) KARTE
(Sahih Muslim Kitabul Salaat)
* Lafaz Kaana Ka Istemal Sab Ya Harr Ke liye Hota He lehaza Inme Witar Bhi Samil Hai…
(Fathul Mulhim Lil Zafar Ahmed Usmani 3/484,485)
4) Abdullah Bin Masood Raz Se Riwayat He Ke Rasul ullah S.A.W Ne Farmaya Jab Tum Harr 2 rakato ke darmiyaan baitho to yeh parho Attahiyatu Lillahi Wassalawatu Wattayyibat…
(Musnad Ahmad Hd.no-4160)
Iss Riwayat Ko Hassiyah charhane Walo Ne Muslim Ki Shart Par Sanadan Sahih Kaha…
(Musnad Ahmad 7/227)
GHAIR MUQALLIDEEN KE KUCH AITERAAZ KE JAWAABAT
Firqa Ghair Muqallideen Ka Ek Aiteraaz Hota He Ke Aap Saw Ne Witr ke 3 Rakato Ko Magreb ki tarah parne mana farmaya he lehaza 2 rakat me baithna nai chaiye yani tasahhud nahi aur yeh hadees di hai…
Hazrat Abu Hurairah Raz Se Riwayat He Ke Nabi Saw ne Farmaya tha ke Witar ke 3 rakat magreeb ki tarah na parho
(Hakim1/403, Behqi 3/31, dar qutni Safa 172 )
JAWAAB 1
Nabi saw ne uss tarah nahi kaha jistarah ghair muqallideen kehrahe he bulke rasul ullah s.a.w ne khud Magreeb Aur Witar 3 rakat hai kaha jo hamari upar dalil no 1,2 Guzri..
JAWAAB 2
Iska Aur ek jawab Salaf us Salihieen Ne bhi diya Lehaza Jo Khud Apne Marzi Se hadeeso pe Raaye lagaye Vo Salafi Kesse??
1) Iss Hadees ke Tehat Allama Kausari Rah Farmate Hain “Witar Se Pehle Kuch Nawafil Namaaz Parhna Zaruri He kyuki Magrib Se pehle koi nafil nahi aur app s.a.w farman magreeb ki tarah witar na padne ka tha”
(Al Nukatu Tareefa Lil Allama Kausari Rah Safa 186)
2) Imam Abdul Barr Maliki Rah Farmate He Ke witar Namaaz Tab He Hoga Jab Kuch Nawafil Usse Pehle padha Jaye Na Ke Magreeb Ki Tarah
(Tamheed Lil Abdul Barr 4/177)
Ya’ni Witar Se pehle Kuch nawafil parna Chaye na Ke Magreeb ki tarah
JAWAAB 3
Ammi Ayesha Raz Ka Bhi Yehi Farman Tha ke Witar Ke 3 rakato Se Pehle nawafil parhna chiye aasar mulaiza farmaye
SANAD
Imam Abu Bakar Bin Abi Shaiba-Abbad Bin Awwam-Ala Bin Mussaib-Mussaib Bin Rafi-Ayesha Raz
MATAN
Ammi Ayesha Raz Farmati He ke Witar Ke 3(rakat) adhura na parho bulke usse Qabal(kamaz Kam) 2 rakat ya 4 rakat parho..
(Musannaff Ibn Abi Shaiba Hd.no-6898)
Tabain Abul Aliya Rah Farmate He Ke Parho(witar) jistarah magrib me partey ho
(Mussanaf ibn Abi Shaiba hd.no-6909, Sanadan Sahih)