• الحمدللہ محدث فورم کو نئےسافٹ ویئر زین فورو 2.1.7 پر کامیابی سے منتقل کر لیا گیا ہے۔ شکایات و مسائل درج کروانے کے لئے یہاں کلک کریں۔
  • آئیے! مجلس التحقیق الاسلامی کے زیر اہتمام جاری عظیم الشان دعوتی واصلاحی ویب سائٹس کے ساتھ ماہانہ تعاون کریں اور انٹر نیٹ کے میدان میں اسلام کے عالمگیر پیغام کو عام کرنے میں محدث ٹیم کے دست وبازو بنیں ۔تفصیلات جاننے کے لئے یہاں کلک کریں۔

کبتک ھاتھ پہ ھاتھ دھرے بیٹھے رھیں؟

ناچیز

مبتدی
شمولیت
اگست 10، 2011
پیغامات
2
ری ایکشن اسکور
6
پوائنٹ
0
Aaj hamare saamne bahut bada almiya hai ki hamare chote chote bachhe hamare haatho se nikle jaa rahe hain aur ham hath par hath dhare lachaar tamashai bane baithe hai, bahut sau ke liye paani sar se oopar jaa chuka hai par kya ab bhi ham aise hi haaato pe haath dhare baithe rahe aur aainda aane waali naslo ki tabahi ki raah aur hamwaar hota dekh kar kya hamara koi farz nahi banta?
Is tabahi ke zariyaat bachpan ki tarbiyat hai maa baap bhalai acche ho bachho ko wo acha mahool schoolo me nahi milta isliye wo us bure mahool ko ghar ke achhe mahool par havi kar dete hai aur nateejatan gharana hi rafta rafta badalta chala jaata hai. aur gharo se maashra badaljata hai, aur ye koi falsafa nahi aisi haqeeqat hai jo kisike door andeshi ki peshangui nahi balki is haqeeqat ke ham sab aini gawaah hain.
Ab masla to hai magar iska hal kya talaash kiya jaaye? aap fikri tor par isme kya contribute kar sakte hai ham aisa kya system banayein ya koi aisa taalimi nizaam hi banaayein jisme wo sab chize sikhayi jaayein jo ik ache nizaam ke tehet sikhai jaati hai aur un sab aalat ka istimaal bhi ho jinhe dekh kar walidain apne bacho ko gairo ke supurd kar rahe hai. Zarurat ek diplomatic solution ki hai na ke intiha pasandi ke zariye kisi ko majboor karne ki ya jazbaat me aa kar qadam uthane ki. Bhaiyo aur behno ye deen ki waqt ki zaroorat hai aur ye ham sabko mil kar karna hai iske liye physically involve hona hi zaroori nahi kyuki ye Allah ke kaam ka mamila hai deen ka maamila hai aur yaha fikro pe bhi milta hai. lihaaza aap hazraat se guzaarish hai ki apne gira qadr khayalaat ka izhaar kare iske baare me sochein aur ahle ilm aur ahle samajh se pooch taach karein aur deen ka taawun karein.

Aap ka bhai Nacheez​
.
 
Top