assalm ulukum
g haan aap muddalis thay.magar sath sath woh bahut siqha bhi thay aur hujjat bhi thay aur bahut mashoor tabai hai.aur ibn omner sahabe kay jalil ul qadar farzand imam salam kay shagird thay.
example.imam bikhari ki juz fateha khalfil imam ka hafez zubair ali zai nay tahqeeq takhreej aur sharha ke hai.jis ka naam nasr ul bari hai.jo is website per dastiyab hai.muddalis jab عن say riwayat karta hai tu uski hadees zaeef hute hai.jabtak kay woh use hadees ko sama ya haddasna say riwayat na karay.is kitab ki pehle hadees zuhri ki wajhe say zaeef hai.
muddalis aur tadlis kay baray main hafeez zubair ali zai sahab ki kitab fatawa ilmiya jild no 1 page no 569 per iska jawab deya gaya hai.jo kay tasale baksh hai.aur yeh kitab is websites per maujud hai.
aur imam zuhuri kay baray main fazail e sahaba kitab page no 134 per inke shaan aur diffa main mukhtasar sa magar tasali bakhs jawab hai.yek kitab ircpk.com per dastiyab hai.agar spell mistake ghalat hu tu darguzar farmaye..allaha hafeez