شاید اب واضح ہو جائے"PEER KAMIL main kamliat hoti ha .kamliat un tamam cheezon ka majmoa ha jo aap keh rahay thay........kamil shakhas wo hota ha jo dil say Allah ki ibadat karta ha,neek aur parsa hota ha......us ki har dua kabool hoti ha... us had tak jis had tak Allah chahay uss kay ilfaz main taseer hoti ha.......wo logon ko hidayat bi deta ha magar ussy ilham nahin hota,,,,,,,,usay wajdan hota ha.....wahi otarti ha us par,,,,,,aur wahi kisi aam insan par nahin otarti.....siraf PEGANBAR par otarti ha .aik lac 24 hazar PEGANBARON main say har PEGANBAR kamil tha magar PEER-E-KAMIL wo ha jis par NABOWAT ka silsala khatam kar dia jata ha.......
har insan ko zindagi main kabi na kabi PEER-E-KAMIL ki zarorat parti ha .kabi na kabi insani zindagi us moor par aa kar khari hoo jati ha ,jab lagta kay hamaray labon aur dil say nikalnay wali duain bayasar hoo gai hain.hamaray sajday aur hamaray pheely hovay hath REHMATON aur NEMATON ko apni taraf moor nahin pa rahay .youn lagta ha jesy koi taluq tha jo toot gia ha phir admi ka dil chahata ha ,ab us kay liay koi aur hath othaye kisi aur kay lab say us ki dua Allah tak puhnchain ,koi aur Allah kay samnay us kay liay girgraye,koi asa shakhas jis ki duain kabool hoti hoon ,jis kay labon say nikalnay wali wali iltajain us kay apnay lafzon ki tarah wapis na mori jain .phir insan PEER-E-KAMIL ki talash shoro karta ha,,,, bhaga phirta ha ...dunia main kisi asay shakhas kay liay jo kamliat ki kisi na kisi seerhi par khara hoo.
PEER-E-KAMIL ki talash insani zindagi ki irtika say ab tak jari ha . yeh talash wo khawahish ha jo Allah khod insan kay dil main paida karta ha .insan kay dil main yeh khawahish yeh talash na otari jati to wo PEGANBARON par kabi yakeen na karta .kabi un ki pervi aur ataat karnay ki koshish na karta .PEER-E-KAMIL ki yeh talash hi insan ko har zamanay main otary janay walay PEGANBARON ki taraf lay jati ha ,phir peganbaron ki mabosiat ka yeh silsala HAZRAT MUHAMMAD(PBUH)ky sath khatam hoo gia .AAP(PBUH) kay baad kisi aur PEER-E-KAMIL ki gunjaish nahin rehti...kon ha jisay ainda anay way zamanay main HAZRAT MUHAMMAD(PBUH) say barh kar koi makam dia jaye ga?
kon ha jo aaj ya ainda anay walay zamanay main HAZRAT MUHAMMAD (PBUH) say barh kar shafat ka dava kar sakay ?
PEER-E-KAMIL (PBUH) ko choor kar hum dunia main aur kis ko khoojnay nikal kharay hovay hain ?
PEER-E-KAMIL(PBUH)kay bait shuda hotay hovay humain dosry kisi ki bait ki zarorat reh gai ha?
PEER-E-KAMIL(PBUH) kay rastay par chalnay ki bajayee humain dosra rasta apni taraf kheench raha hae?
kia muslman kay liay aik Allah ,aik QURAN,aik RASOOL(PEAE BE UPON HIM) aur on ki sunnat kafi nahain?
ALLAH aur Us kay RASOOL(PEACE BE UPON HIM) aur on ki kitab kay ilava kon ha jo humain dunia aur akhirat ki taklifon say nijat dila sakay
jo hamari duaon ko kaboliat bakhshay ,jo hum par naymatain aur rehmatain nazal kar sakay?
koi PEER-E-KAMIL koi firka bata sakta ha?nahain bata sakta "
wo siraf muslman thay .wo muslman jo yeh yakeen rakhtay thay kay agar sirat-e-mustakeem par chalain gay to wo JANNAT main jain gay ,us rastay say hatain gay to ALLAH kay azab ka nishana banain gay .
aur sirat-e-mustakeem wo rasta ha jo Allah apny PEGANBAR(PBUH)kay zariay QURAN-E-PAK main bataya .saaf aur do took ...aur wazay ilfaz main ....wo kaam karain jis ka hukam apnay RASOOL(PEACE BE UPON HIM) kay zarye deta ha aur us kaam say ruk jain jis say mana kia ha. ALLAH,....HAZRAt MUHAMMAD(PEACE BE UPON HIM)aur QURAN kisi baat main koi ibham nahin rakhtay .QURAN kholiaye ,agar us main kahain do took aur gair mubham ilfaz main kisi dosry PEER-E-KAMIL ya PEGANBAR ka zikar milay to us ki talash kartay rahiya aur agar asa koch nazar nahain ata to phir siraf khoof khayee kay aap apnay pairon ko kis daldal main liay ja rahay hain .apni 50,60 sala zindagi ko kis tarah apni abdi zindagi ki tabahi kay liay istimal kia .kis tarah khasaray ka soda kar rahay hain .hadayat ki talash ha QURAN kholiaye .kia kia ha jo wo aap ko nahain bata deta .wo aap ko masoom aur anjan aur bykhabar nahi rehnay deta aap ka asal aap kay monh par day marta ha .kia Allah insan ko nahin janta hoo ga?us makhlook ko jo os ki arbon kharbon takhlikat main say aik ha .
DUA kabool nahain hoti to asray aur wasilay talash karnay ki bajayee siraf hath otha lijiye ,ALLAH say khod mangain day day to shuker karain,na day to sabar.... magar hath aap khod hi othain.
zindagi ka karina aur salika nahain aa raha to OSWA-E-HASNA (PEACE BE UPON HIM) ki taraf chalay jain ,sab koch mil jay ga aap ko.
ihtaram har aik ka karain .har WALI,har MOMIN ka,har BUZURAG ka,har SHAHEED ka,har SALEH ka,har PARSA ka.......
magar apni zindagion main rehnomai aur hidayat siraf HAZRAT MUHAMMAD(PEACE BE UPON HIM) say lain.kionkay onhoon nay aap tak apnay zati ehkam nahin pohanchayee jo koch bataya ha,wo ALLAH ka nazal karda ha .
Peer-e-kamil(SAWW)