JazakAllah Khair bhai belkul sahi kaha aapne...
ek aur sawal agar aap bezar nahi ho rahe hain to ?
kabhi kabhi kuch aisa hota hain k koi Maa aapni bache ko kessi majboori k tehat kessi aur ko adoubt kerti hain (khaas ker jenki koi aulad na ho) unhe, pir aise mei voh palne wale maa usay aapni he aulad k jitna pyar kerti hain and aapni auald k jaise buhut khidmat kerti hain jub voh bacha thora sa bada hujae and uske asli maa ko tub thora ahsas hone lagta hain k yeh Bacha MashAllah se bada hua hai aur wo chahti hai ke usko wapas lele tu phir kya iase mei yeh sahi hoga k usay voh bacha wapas dene chahye jub k voh bacha khud bhi kessi aur ko apani maa samajhne laga ho aur voh usay k saath rahna chahta hai and uski asli maa ko pahchanta bhi na ho so aise mei bhi asli maa ko bacha wapas dene chahye ya nahin? kio k yaha pe aab baat bache k bhi athe hai k voh aapne palne wale maa k saath hi rehna chahta hai to kya aise halat me bache ko haq milta hai ke wo khud jahan chahe rahe ?
daleel k sath jawab ka talabgaar