- شمولیت
- اگست 28، 2013
- پیغامات
- 162
- ری ایکشن اسکور
- 119
- پوائنٹ
- 75
MAKAANA WA MAYAKOON ka ILM ::
Mishkaat Baab Ul Mojizaat main HAZRAT ABU HURERA (RAZI ALLAH ANHU)
se Riwaayat hai:
Tarjuma: " Shikaari Aadmi ne kaha mene Aaj ki tarah kabhi na dekha
k Bheriya Baaten kar raha hai , to Bheriya bola, k is se Ajeeb baat yeh hai
k Ek Sahab (HUZOOR ALEH SALAAM) Do (2) Medaanon k Darmiyaani
Nakhlistaan (Madina Munawaarra) main hain aur Tum ko Gusishta aur
Aaendah ki Khabren de rahe hain".
(seerat Ibn-E-Ishaaq Aalaam Un Nabbuwwah, Page#261, Raqam Ul Hadees,
433, Matboo'a Ma'ahad Duraasaat Wala Bahas Ut Taareeb)
Imaam Abi Ul Farj Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597 Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Bheriye ne kaha yeh to koi Ta'ajub Khez Baat nahin hai, Dar Asal
Herat aur Ta'ajub ka Mojib to yeh baat hai k Sangistaanon k darmiyaan
Nakhlistan main ek Hasti Jalwah farma hain, jo Guzre huwe Waaqiyaat bhi
Batlaate hain, aur Aane Waale bhi"..
( Al Wafa Ba Hawal Ul Mustafa, Baab Us Saani Zikar Aalaam Ul Hawash,
JILD#1, PAGE159, Matboo'a Mustafa Ul Baabi, Misar)
ALLAMA Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maaliki Qurtubi 668 Hijri main
Likhte hain:
Tarjuma: " Bheriya kehne laga, Ae Bakriyon Waale!! Is se kahin Ziyaadah
Ajeeb Baat to yeh hai k In do (2) Sangistaanon k Darmiyaan Khajooron k
Baagaat Waale Sheher main ek MArd Jalwah Farma hai, jo tumhen Maazi ki
Khabren bhi Deta hai, aur jo kuch tumhare Mustaqbil main hone waala hai
un Waaqiyaat ki khabren bhi deta hai"..
(At Tazkara Fi Ehwaal Al Moti Wa Umoor Takoon Ben Yadi Us Sa'at, Jild#2,
Page#527, Matboo'a Saeediya, Kutub Khana, Sadaf Plaza Muhalla Jangi
Peshawar)
Imaam Kabeer Muhaddis Haafiz Hadees Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah
Asfahani 430 Hijri Main Likhte hain:
Tarjuma: " Bheriye ne Kaha is se bhi Ajeeb tar Baat yeh hai k Ek Aadmi Do
(2) Medaanon k Darmiyaan, Waaqiye Nakhlistaan (Madina) main Beth kar
Batla raha hai k Kiya ho chuka hai aur Aaendah kiya hoga"...
(Dalael Un Nabuwwah, Imaam Abu Naeem Asfahaani, Page#337-338,
Matboo'a Ziya Al Qura'an , Publications, Lahore)