Kilani sahab salaf ka maslak ye raha hai k wo kabhi sifaat k asal maani k darpay nahi huwe balke unka rastaa is baab main tafweez ka tha. Yaani unhone ayat ka isbaat kia, ayat k alfaaz ka isbaat kia, ayat jis tarah nazil huwi usi tarah usko rakha, ayat k asal maani unhone Allah ko tafweez kardi...