معین
رکن
- شمولیت
- اپریل 26، 2011
- پیغامات
- 27
- ری ایکشن اسکور
- 145
- پوائنٹ
- 49
Assalam alaikum. Hazrat jo mene Dr. Bashhar Awwad Maroof aur Saeed al-Qahtani ki taraf ruju karne ko kaha tha to wo is liye kyonki in hazraat ne muhaddithan andaz me un riwayat ki wazahat ki hai jin se bazahir Imam Abu Hanifa ki tabdee' ya tafseeq hoti hai. Baqi agar mujhe ulama ki ray hi pesh karni hoti to inse kai bade ulama ke naam pesh kiye ja sakte hai. As-Sahifa ke musannif ne apni ta'leef me insaf se kam nahi liya, jabki Bashhar Awwad aur al-Qahtani ne munsifana andaz me Imam Abu Hanifa ka difa kiya hai. Baqi jo mutaqaddimeen ki baat hai to wey ulama kisi ek amr par bahut kam muttafiq hote hai, aur mut'akkhir ulama unke aqwal ke darmiyan tatbeeq dete hai. Aur jo qaleel-ul-fahm hazraat apne mukhalifeen per radd o qadah kar ke aalim ban baithey hai wo bajaye tatbeeq dene ke ek tawtheeq ko dusri jarh se mansookh karte hai, ya phir jariheen ki tadaad gin ker faisla karte hai. ye tarze amal ulama ka nahi balki un logo ka jo ummat me fitne fasad ki jad hai chahe kisi fareeq se ta'lluq rakhte ho. eجب جرح و تعدیل کی بات ہو تو متقدمین میں کسی شخصیت کے حوالہ سے انہیں کی باتیں قابل قبول ہوتی ہیں جو ناقدین میں آتے ہیں ، تعجب ہے کہ ائمہ جرح و تعدیل کے مقابلہ میں کچھ لوگ موجودہ دور کے اہل علم کے حوالے پیش کرتے رہتے ہیں کہ انہوں نے ابوحنیفہ رحمہ اللہ کا دفاع کیا ہے ۔
لاحول ولا قوۃ الا باللہ۔
Is se mut'alliq upar arz kiya ja chuka hai. eابوحنیفہ رحمہ اللہ کےبارے میں ناقدین محدثین کے خلاف غیرناقدین اہل علم کے اقوال پیش کرنا ایک لغو اور لایعنی چیز ہے۔
عصرحاضرکے اہل علم لاکھ قابل قدر سہی مگر انہیں یہ حق حاصل نہیں ہے کہ ابوحنیفہ رحمہ اللہ پر کی گئی جرح کا ازالہ کرسکیں ، ابوحنیفہ رحمہ اللہ کے بارے میں ہم جوکچھ کہتے ہیں وہ ہماری اپنی بات نہیں ہے بلکہ ناقدین کی بات ہے لہٰذا اگرکسی کو ابوحنیفہ رحمہ اللہ کے دفاع کا شوق ہو تو معاصرین اہل علم کے اقوال پیش کرنے کے بجائے ناقدین محدثین کے اقوال پیش کرے ورنہ خاموش رہے ۔
Awam aam taur se ulama pe munhasir rehti hai. Agar awam ko jayyid aur ghair jayyid ulama me farq nahi maloom to unke gumrah hone ka imkan rahta hai. Hawale to aaj ke zamane me koi bhi de deta hai chahe wo rafidhi ho ya qadiyani, lekin jayyid ulama ki pehchan ye hai ki wo insaf ka daman kabhi nahi chhodte chahe unke mukhalifeen hi samne kyo na ho. Ulama e suu hamesha apne mukhalifeen ko nicha dikhane ki koshish me rehte hai.
انما يخشي الله من عباده العلماء
Jaha tak ulama e mutaqaddimeen ke quwl ki bat hai to wo bahut hai. Imam Abu Hanifa koi chhupi hui shakhsiyat to the nahi aslaaf ke zamane se hi ek jamm e ghafeer un ke fatwo pe amal kerti aa rahi hai. Kitne hi ulama ne unhe Faqeeh waqt kaha aur kitno ne unhe zahid aabid bataya, kya aisa shakhs gumraah tha? agar chand aqwal ki bina per koi majrooh ho jata to kitne hi ruwat e sahihain per ulama ki sakht jarh mawjood hai jinke bare mei ye keh diya jata hai ki ''qad jawaz al qantarah''. Ikrima ki hi misal le lijiye, ya Abdul Malik bin Umair ya Imam Malik per Imam Ibn Abi Dhib ki sakkht jarh, ya phir Ibn Ishaq ko lijiye waghairahum. e
جب اہل حدیث امام ابوحنیفہ رحمہ اللہ کے بارے میں اپنے نہیں ، بلکہ جلیل القدر ناقدین کے تبصرے پیش کرتے ہیں تو بعض ناانصاف لوگ یہ کہنے لگتے ہیں کہ اہل حدیث ائمہ متبوعین کا احترام نہیں کرتے !!!!!!!!!!!
wo log sahi kehte hai, afsos ye hai ki is ta'n o tashnee' ka nishana insaf pasand ahle hadith ulama bhi ban jate hai. Hazrat jab aap Imam Abu Hanifa ko gumrah jute ki ibadat karne wala samajhte hai to kisi ka ye kah dena ki aap A'imma ka ehteram nahi karte kon si ghalat baat hai. eانما يخشي الله من عباده العلماء
Jaha tak ulama e mutaqaddimeen ke quwl ki bat hai to wo bahut hai. Imam Abu Hanifa koi chhupi hui shakhsiyat to the nahi aslaaf ke zamane se hi ek jamm e ghafeer un ke fatwo pe amal kerti aa rahi hai. Kitne hi ulama ne unhe Faqeeh waqt kaha aur kitno ne unhe zahid aabid bataya, kya aisa shakhs gumraah tha? agar chand aqwal ki bina per koi majrooh ho jata to kitne hi ruwat e sahihain per ulama ki sakht jarh mawjood hai jinke bare mei ye keh diya jata hai ki ''qad jawaz al qantarah''. Ikrima ki hi misal le lijiye, ya Abdul Malik bin Umair ya Imam Malik per Imam Ibn Abi Dhib ki sakkht jarh, ya phir Ibn Ishaq ko lijiye waghairahum. e
جب اہل حدیث امام ابوحنیفہ رحمہ اللہ کے بارے میں اپنے نہیں ، بلکہ جلیل القدر ناقدین کے تبصرے پیش کرتے ہیں تو بعض ناانصاف لوگ یہ کہنے لگتے ہیں کہ اہل حدیث ائمہ متبوعین کا احترام نہیں کرتے !!!!!!!!!!!
agar hindo pak me in aimma ke matbu'een hote to aap shayad in ko bhi na bakhshte. Imam Malik salateen ki isharo pe nachte the, Imam Shafa'i riwayat me ghaltiya karte the aur do tarah ke fatwe dete the, Imam Ahmad ghair faqih the ya mujassim the... kehne walo ne ye bhi kaha hai.غورطلب بات یہ ہے کہ کیا کوئی اہل حدیث ، امام مالک ، امام شافعی ، اور امام احمدبن حنبل رحمہم اللہ کے بارے اس طرح کی کوئی بات کرتاہے؟؟؟؟
Hazrat aap logo ka samna shafa'i mat'assibeen se abhi hua nahi, warna gheebat me to mahir hai hi.ہرگز نہیں ! حالانکہ یہ ائمہ بھی ائمہ متبوعین میں سے ہیں ، اوران کے بھی مقلدین ہیں ، اور تقلید کے ہم خلاف ہیں۔
لیکن اس کے باوجود بھی ان ائمہ ثلاثہ کے بارے میں کوئی بھی وہ اہل حدیث وہ باتیں خواب خیال میں بھی نہیں سوچ سکتا ، جوابوحنیفہ کے تعلق مروی ہیں ۔
Akhiri arz kar du, ye kitab us shakhs ki likhi hai jo ye nahi janta ki jarh bhi ek gheebat hai, jiski ulama bila zarurat ijazat nahi dete. elawa iske ye ummat me fasad barpa karne ka asan tareeqa hai ab chahe ye kitab ho ya Shaykh Muqbil ki kitab ho ya zubair Ali sahab ki ''tahqeeqat'' ho ya phir Maulana Ra'ees nadvi ka imam per ta'n ho. Aur Imam Abu Hanifa the ye janana koi zaruri amr bhi nahi. Wassalam